zainab ne kaha rokar dekho to zara bibi
kartey hain tere gham mein sab aaho buka bibi
1. kuch kam nahi zindan mein yeh gham hi tera bibi
tha daag bahattar ka ek aur mila bibi
2. juzz sabr ke shikva kya ghurbat ka asiri ka
woh karbobala ho yaa zindaan -e- bala bibi
3. bhoolongi bhala kaise manzar woh qayamat ka
jab tegh ke neeche tha sarwar ka gala bibi
4. yeh shaam ke zinda mein kis tarha basar hogi
jab tum ko kafan tak bhi yaa milna saka bibi
5. lejayenge aankhon mein har zulm ke manzar ko
jayengey watan jis dam hum hoke reha bibi
6. jaati ho quda haafiz baba ko bata dena
yeh neel tamachon ke kurta yeh phata bibi
7. kehte the farid uss dum sab ahle haram rokar
hote nahi jeene se iss sin mein qafa bibi