Kanz e Aza

Zameene Garm se

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Dayam Najafi. Lyrics in Roman Urdu.

sadayein deti hai kab se ghareeb dukhiya maa

haye sakina haye sakina haye sakina


zameen e garm se behre khuda utho bibi

ab aur maaa ka na tum imtehan lo bibi


mai ro chuki hoo bahot aur tum na rulwao

ghareeb khasta jigar ko na aise tadpao

na zid karo mere seene se aake lag jao

khuda ke waaste meri sada suno bibi

zameen e garm se...


likhe gaye hai rehaai ke ab to parwane

rasan galay mein nahi ho gaye reha shaane

khafas se ho gaye azaad lo khafas waale

khuli hawaon mein ab tum bhi saans lo bibi

zameen e garm se...


nehr se ammu sada de rahe hai aajao

jo dil pe guzri hai aa kar hamein suna jao

nishan tamachon ko abbas ko dikha jao

nehr pe aan ke hum se zara milo bibi

zameen e garm se...


na koi durre lagayega tumse waada hai

na koi tumko rulayega tumse waada hai

tamache koi na maarega tumse waada hai

sitam ke zulm se be-khauf ab raho bibi

zameen e garm se...


lo muddua e dil e ghamzada hua poora

naseeb hogaya lamha watan ko jaane ka

libaas e kohna utaaro pehan lo kapda naya

khushi khushi zara uth kar galay milo bibi

zameen e garm se...


ye dekho loot ka saaman mil gaya saara

lo yaad e karbobala phir se ho gayi taaza

tum apne haathon se baali pehen lo uthke zara

ye lo rida sar e uryan pe tum rakho bibi

zameen e garm se...


utho ke poori hui meri jaan teri chahat

zameen pe sone ki ab to nahi koi haajat

ye dekho mil gayi zindan se aal ko ruqsat

pidar ke seene pe sone chalo chalo bibi

zameen e garm se...


ajeeb waqt tha bano pe dayam o yazdan

lipat ke qabr se kehti thi ek dukhiya maa

sadayein deti hoo kab se jawab do ab jaan

zameen e garm ko lilaah chod do bibi

zameen e garm se...