Shabbir sulate the jise seene pa Apne
Abbas ne jis Bibi ke the Naaz uthaay
Us Bibi ke Rukhsaar huwe kisliye neele
Kyun kaano se us Bibi ke khoo'n behta hai paiham
Zinda'n ke andhere me Sakina ka hai Maatam
Wo dhoop Aseeri wo safar Aalam-e ghurbat
Wo shimr ke durre wo tamaacho'n ki aziyat
Wo pyaas wo jalte huwe khaimo'n ki musibat
Ab khaak hai zindaan ki un zakhmo'n ka marham
Zinda'n ke andhere me Sakina ka hai Maatam
Abbas ki aaghosh me rehti thi Jo aksar
Shabbir ka seena raha Jis Bachchi ka bistar
Us Bachchi ko ab khaak pa neend aaegi kyu'nkar
Kis tarha huwa Pyaasi Sakina ka ye Aalam
Zinda'n ke andhere me Sakina ka hai Maatam
Dekhi hai Kisi ne kahin Mayyat koi Aisi
Soojhe huwe rukhsaar lahu kaano se jaari
Nanhe se gale me hai rasan poosht bhi zakhmi
Sar peet'te hain Ahl-e Haram karte hain Maatam
Zinda'n ke andhere me Sakina ka hai Maatam
Sajjad to hain tougo salasil me giraftaar
Har Bibi rasan basta hai uthna bhi hai dushwaar
Abbas ko Deti hai Sada Zainabe Naachaar
Ab kaun kare Dafn ka saamaan faraaham
Zinda'n ke andhere me Sakina ka hai Maatam
Hai Qaid-e sitam me ye ajab dard ka manzar
Ab Qabr me khwahar ko Sulata hai Baradar
Hasrat se khadi dekhti hai Ghamzada Maadar
De Kisko sada koi nahi'n Monis-o Hamdam
Zinda'n ke andhere me Sakina ka hai Maatam
Kaisi ye Rasheed Aale Nabi par hai musibat
Zindaan me ab banti hai ek Nanhi si Turbat
Yaad aati hai Abid ko Sakina ki Wasiyat
Ek Bhai pa Kis tarha ye Ghurbat ka hai Aalam
Zinda'n ke andhere me Sakina ka hai Maatam