ZINDAA’N KI ZULMATO MEIN SAKINA GUZAR GAYI
Kya kya sitam uthaye the karbal se sham tak
Kitne tamache khaye the karbal se shaam tak
Waade magar nibhaye the karbal se shaam tak
Kitna baaland sabr ka meyaar kargayi
Ek shor wa-hussain ka barpa tha qaid mein
Aur dam har ek bibi ka ghut-ta tha qaid mein
Allah kya ghazab ka andhera tha qaid mein
Kunbe ko qaide zulm se aazaad kar gayi
Bechargi hai khauf hai ghurbat hai yaas hai
Bachi ke khushk honto pe shiddat ki pyaas hai
Behre kafan badan mein phata ek libaas hai
Manzar ye saare maa ki nigahoo’n mein bhar gayi
Baba ke qatl hone ka manzar liye huwe
Nanhe se dil pe sadma-e-akber liye huwe
Aankho mein ansooun ke samandar liye huwe
Jo jee rahi thi qaid mein ghut ghut ke mar gayi
Ehsaas ki nigaah se dekha hai ye samaa’h
Qaide sitam mein aaj bhi baithi hai bibiyaa’n
Ab tak sunayi deti hai bachi ki hichkiyaa’n
Har sahib-e-zameer ko bedaar kar gayi
Patthar lahu ugalte the larza thi kayenaat
Aayi pahaad banke yateemi ki pehli raat
Wo gaal phool jaise wo zalim ka saqt haath
Hairat hai kyun na pehle tamache pa mar gayi
Muddat tamam hogayi bano ke chain ki
Ab tak sadayen aati hai zainab ke bain ki
Ahsan wo chaar saal ki bachi Hussain ki
Aazadiye zameer ka aelaan kar gayi