ABID NE YEHI KEHKE GHURBAT MEIN GUZARA HAI
Abbas agar hote ye puchta ammu se
Kisne mere baba ka sar tan se utara hai
Islam bachane ko har zulm gawara hai
Naize pe chada dekha Abid ne sar-e-sarwar
Hasrat se kaha baba kya haal tumhara hai
Islam bachane ko har zulm gawara hai
Dushman ko bhi hairat thi Sajjad ki halat par
Chalees baras kaise ro ro ke guzara hai
Islam bachane ko har zulm gawara hai
Na touq ka kuch gham hai na paon ke chalon ka
Dukh ye hai laee’n chadar Zainab ki utara hai
Islam bachane ko har zulm gawara hai
Kis tarha bhulaonga mein darbar ka wo manzar
Jab balwe mein hakim ne phupiyon ko pukara hai
Islam bachane ko har zulm gawara hai
Qasim hai na Akber hai Abbas na Asghar hai
Abid ne kaha ro kar ab koun hamhara hai
Islam bachane ko har zulm gawara hai
Abbas likho kaise Sajjad ki ghurbat ko
Khasta hai lahad jis ki saaya na sahara hai
Islam bachane ko har zulm gawara hai