ARBAYEEN HOTA HAI QAAK PAR BAHATTAR KA
Karbala ke maqtal mein bain tha ye khwahar ka
Kis tarah se bhoolungi gham shaheed-e-Asgher ka
Dil pe daagh layi hoon bhai teri dukhtar ka
Uthke bhaijaa dekho haal kya hai muztar ka
Dafn karne laasho ko ghamzada bahen aayi
Zulmato ki duniya se karbala ke bun aayi
Qaid se rehaa hokar qabr par dulhan aayi
Sham ke masayeb ko kehne bewatan aayi
Sham-e-gham ke saaye mein haal the ghareebo ke
Jal rahe the qaimo mein pairahan yateemo ke
Hashr ke manazir the saamne nigaho ke
Ghash mein the sabhi bachche goad mein aseero ke
Darbadar rasan basta phirti mai rahi bhai
Sharm se huwi paani raah-e-sham se guzri
Sar barehna mehfıl mein phir yazeed ke pohonchi
Raah-e-sham mein haye haye kyu na mujhko maut aayi
Aati hoon Sakina ko dafn karke zindaa’n mein
Ro rahi hun mai kab se maatam-e-shahedaa’n mein
Dard hai mere bhai meri har rag-e-jaa’n mein
Beh na jaye ye duniya aansuwo’n ke toofa mein
Tere gham mein ab Zainab saaye mein na baithegi
Karbala ke maqtal se jab watan ko jayegi
Neel apne baazu ke maa ko phir dikhayegi
Gharq hoke ashko mein saare gham sunayegi
Dekh kar ye Zainab ke ranj-o-dard ka aalam
Aasmaan khoo’n roya sunke noha-e-purnam
Qabr Sheh ki tharrai usne jab kiya matam
Phat gaya jigar Qasim hota tha na girya kam