Seh Ke Har Zulm-O-Sitam Aagaye Ahle Haram
Arbayen Hai Jo Tera Hoga Matam Ye Sada
Qaid Do Saal Rahi Teri Bahen Aye Bhai
Tujhpe Dil Kholke Royi Na Teri Ma-jayi
Khul-Gayi Meri Rasan Hoga Matam Barpa
Haye Wo Kuncha-O-Bazaar Me The Ham Qaidi Aur Wo Shaam Ka Darbar Tha Zainab Thi Khadi
Sat-So Kursi Nashi Bhai The Hum Berida
Haye Wo Tasht-e-Tila Farqe Hussain Ibne Ali
Haye Wo Muh-e-mubarak Pe Zalim Ki Chadi
Aao Abbas Yahan Dekho Zalim Ko Zara
Maine Atthara Baras Nazo Se Pala Tha Jise
Kitna Zalim Tha Sina Barchi Jo Mara Hai Ise
Phat Gaya Mera Jigar Kya Jiyegi Madar
Shera Sarwar Ne Bhandha Sej Bhi Pholun Ki Saji
Shadi Pal Bhar Me Huwi Bewa Dulhan Kubra Huwi
Run Me Qasim Jo Gaya Hai Pamal Howa
Qaid Zindan Ki Huwi Bali Sakina Bhai
Teri Bachi Ko Kafan Haye Na Mai De Payi
Ghusl Na Usko Diya Dafan Ghurbat Me Kiya
Haye Wo Nanha Gala Tere Sitam Wa-Waila
Khoon Bhare Bazu Shahin-Shah He Umam Wa-Waila
Khat-Gaya Sookha Gala Khanjare Zulm Chala