Aye Geerat-e-Maryam Tera Bazar Me Jana
Ta-Harsh Na Bhulega Wo Manzar Ko Zamana
Zainab Se Ye Farmaya Hussain Ibne Ali Ne
Tum Jake Watan Me Meri Rudad Sunana
Abbas Ye Tey Karke Chale The Suwe Darya
Pani Mujhe Hai Bali Sakina Ko Pilana
Akbar Ko Na Kar Qatl Khuda Ke Liye Zalim
Hum Shakle Nabi Kheta Hai Akbar Ko Zamana
Dunya Me Ye Purse Ka Tariqa Nahi Hota
Zindan Me Sar Baap Ka Beti Ko Dikhana
Kya Ajre Risalat Isse Khete Hai Laeinon
Acha Nahi Bimar Ko Katoun Pa Chalana
Jab Bhi Kabhi Islam Musibat Me Ghira Hai
Islam Ke Kam Aaya Mohammed Ka Gharana