Binte Faatehe Khaibar Khwahare Hasan Zainab
Do Jaha'n ki Shehzaadi Jaane Panjatan Zainab
Phir huwi'n Bhateeje ke saath bewatan Zainab
Haay wo Tere baazu aur wo rasan Zainab
Aye Hussaine Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab
Khaatima huwa Tujh par har nayi musibat ka
Tu ne phir nahi'n dekha daor koi raahat ka
Kya jawaab ho sakta koi TeriHimmat ka
Kyun na ho galaq Hamko phir Teri Shahadat ka
Aye Hussaine Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab
Khoon Naonehaalo'n ka Laasha-e Jawa'n dekha
Naawake sitam dekha halge Bezaba'n dekha
Karbala ka Nazaara Shaam ka Sama dekha
Seh ke har musibat ko suwe asmaa'n dekha
Aye Hussaine Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab
Manzilein huwi'n aakhir Shaam ka dayaar aaya
Ahle Bait ke ghar me Ahde Inteshaar aaya
Khud Imam Baalee'n par ho ke ashkbaar aaya
Haay Sar pa Zainab ke belche ka waar aaya
Aye Hussaine Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab
Hashr Shaahzaadi ne kitne Gham uthaaye hain
Zulm ki fazaaon me taaziyaane khaaye hain
Dee hai Apni Chaadar bhi Haath bhi Bandhaaye hain
Sabro Zapt ke jauhar qaom ko dikhaaye hain
Aye Hussaine Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab