Mohsine Deene Musalma'n Khaasa e Daawar Hussain
Maliko Mukhtaare Duniya Shaafa e Mehshar Hussain
Naazisho Fakhre Nabuwat Deen ke Rahbar Hussain
Tashnakaame Karbala aur Saahib-e Kauser Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Jisne Sar dekar bachali Aabroo-e Ambiya
Fakhre Kaaba jisne kardi sar zameene Karbala
Jisne tashna halq se kaata hai baatil ka gala
Arshe Aala se bhi oonche the tahe khanjar Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Bebasi thi raahbar aur bekasi thaame thi haath
Aur fughaane Fatima se goonjti thi kaaynaat
Hasrate'n Baali Sakina ki chalee'n thee'n saath saath
Jab chale khaime se Bhai ke Janaze par Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Aasma'n larza fisha'n tha kaampti thi ye zami'n
Sabre Ayubi ne sajde me jhukali thi jabi'n
Pher kar mu rorahe the Ambiyao Mursali'n
The Jawa'n Bete ke khu'n me Sar se Paa'n tak tar Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Laasha e Kadiyal Jawa'n par dil ki haalat Al Amaa'n
Ashke khu'n aankho'n se jaari khushk honto'n par fugha'n
Naame Haider leke Moula LaashLe chaliye waha'n
Muntazar hai Maadare Dilgeer khaime par Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Sar jhukaay chal rahe the peechhe peechhe Ambiya
Thaam kar Dil rorahe the Mustafa 0 Murtaza
Goonjti thi dashto sehra me bukaaye Fatima
La rahe the suwe khaima Laasha e Asghar Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Khalg ko dikhla chuke Khaliq ki Tasweere Jalal
Jhoomte hain ab faras par hoke zakhmon se nidhaal
Aayi Zehra ki Sada Aja zami'n par Mere Lal
Muntazir hai haath phaylaaye TeriMaadar Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Karbala me nahr par soya hai Shere Murtaza
Abid e Bimar tanha Qaidiye touge bala
Hai bhara darbar aur Ahle haram hai berida
Kya kare Kisko pukare Aapki Khwahar Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Berida Aale Muhammad hain rasan basta khade
Daste zalim me chhadi hai aur Lab Mazloom ke
Roke kehti hai ye Zainab Haay Maajaay Mere
Choomte the Aapke Honton ko PaiGhambar Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Aaj zinda'n se nahi'n uthti Sakina ki Fugha'n
Rorahi hain Rone waali ke liye sab Bibiya'n
Godh me Maasum ka Laasha Liye baithi hai Maa
Margayi Qaide sitam me Aapki Dukhtar Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Qalbe Momin Karbala hai baite Haq se kam nahi'n
Zindagi is Gham se hai ye Ghamnahi'n to hamnahi'n
Juz Ghame Ibne Ali Jaweed koi Ghamnahi'n
Likh liya hai hamne apne Qalbe Muztar par Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain