Kanz e Aza

GARM RETI PA MAIN GIRTA HU'N SAMBHALO AMMA

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Ali Jaweed Maqsood and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Asre Ashoor tha Shabbir the tanhaai thi

Maahe Zehra pa ghata zulm ki jab chhaai thi

Sheh ko jab noke sina suwe zami'n laai thi

Girte girte labe Zakhmi pa sada aai thi


Garm reti pa Main girta hu'n sambhalo Amma


Lut gaya hu'nMain kisi ki bhi Mujhe aas nahi'n

Qatl sab hogaye ab koi Mere paas nahi'n

Mera Qasim nahi'n Akbar nahi'n Abbas nahi'n

Tum Mujhe Aake kaleje se lagalo Amma


Garm reti pa Main girta hu'n sambhalo Amma


Laash Qasim ki uthaai hai nazar zakhmi hai

Zakhm Akbar ka jo dekha hai jigar zakhmi hai

Qalb zakhmi hai badan zakhmi hai sar zakhmi hai

Dein sahara Mujhe Baba ko bulalo Amma


Garm reti pa Main girta hu'n sambhalo Amma


Main jo ghode se girun Tum Mujhe taskee'n dena

Pyaar karna Meri himmat ko duaein dena

Daal kar baahein gale me Mujhe lipta lena

Haa'n dame zib'ha magar haath hata lo Amma


Garm reti pa Main girta hu'n sambhalo Amma


Ab koi dam meMere halq pa khanjar hoga

Aur seene pa Mere shimr sitamgar hoga

Khoon ka hoga kafan khaak ka bistar hoga

Aakhri naaz ye Bete ka uthaalo Amma


Garm reti pa Main girta hu'n sambhalo Amma


Apne waade ke liye Maine har eeza sehli

Ek armaa'n Mera nikle to inayat hogi

Zib'ha ke waqt Meri Tumse tamanna hai yehi

Sar Mera khaak se zaanu pa uthalo Amma


Garm reti pa Main girta hu'n sambhalo Amma