Kanz e Aza

Ghame Shabbir Hai

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mehshar Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

ghame shabbir hai aah o fughan hai

yehi mehshar hayate jawedan hai


sanaye sheh mere bas ki kahan hai

mai khatra hoo wo behre bekaran hai

ghame shabbir hai…


qalam jo madhe sarwar may rawan hai

yazeedi qalb par noke sina hai

ghame shabbir hai…


jahan khilte hai gul-ha e imamat

wo khatoone jina ka gulsitan hai

ghame shabbir hai…


hussain ibne ali kashti ke langar

ridaye binte zehra baagban hai

ghame shabbir hai…


dehen sheh ka payambar ki zaban hai

nabuwat ki imamat tarjuma hai

ghame shabbir hai…


pisar ki laash par kehti thi laila

utho beta ke ab waqte azan hai

ghame shabbir hai…


kiye ja midhate aale payambar

yehi mehshar hayate jawedan hai

ghame shabbir hai…