Kanz e Aza

Ghamon ki Inteha

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Dayam Najafi. Lyrics in Roman Urdu.

zabeehe maariya hussain

qateele nainawaz hussain

ghamon ki inteha hussain

hussain hussain hussain hussain


jawan ki laash laate hai lehad koi banate hai

watan se door dasht may hussain gham uthaate hai

ghamon ki inteha hussain

hussain hussain hussain...


hai be-khata mera pisar koi bachaye aan kar

sadayein de rahi ye tadap tadap ke nauhagar

ghamon ki inteha hussain

hussain hussain hussain...


na to kafan naseeb hai na to watan naseeb hai

nabi ka laadla hussain is khadar ghareeb hai

ghamon ki inteha hussain

hussain hussain hussain...


ghamon se choor choor hai lahoo lahoo hai shaahe deen

magar hai sajda e khuda may kham hussain ki jabeen

ghamon ki inteha hussain

hussain hussain hussain...


sina ki nok par azan naye jahad ka imtehan

sina pe aage aage hai hussain meer e karwan

ghamon ki inteha hussain

hussain hussain hussain...


ye ghurbat e shahe zaman naseeb kab hua kafan

ye inteha e zulm thi juda juda kiya badan

ghamon ki inteha hussain

hussain hussain hussain...


laraz rahi thi khud zameen falak pe hashr tha bapa

churi hai kund aur gardan e ghareeb e fatema

ghamon ki inteha hussain

hussain hussain hussain...


kahan sitam ka silsila kahan ghareeb e nainawa

ye kehke dayam aur yazdan ro padi wo ghamzada

ghamon ki inteha hussain

hussain hussain hussain...