Kanz e Aza

Halmin Nasirin

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Dayam Najafi. Lyrics in Roman Urdu.

thi yehi dashte musibat mein sada e sarwar

hai koi jo ke sune aaj nida e sarwar

kya hai koi jo chala aaye bara e sarwar

hal min nasirin yan surna


haye is dasht mein be-monis o be-yaar hussain

har nafas khaate hai aghyaar se aazaar hussain

koi to aaye sada dete hai nadaar hussain

hal min nasirin yan surna...


ghir gaye fauje sitamgar mein shehenshah e umam

zakhm pe zakhm diye jaati hai tayghe payham

aur har zakhm hum tumko bulaate hai baham

hal min nasirin yan surna...


aandhiyan teeron ki toofan hai talwaron ke

zakhm hai dil pe shahe deen ke ghamkharon ke

muntazir hai shahe deen dasht mein ansaron ke

hal min nasirin yan surna...


haye pani na dam e marg hamein mil paaya

tashnalab tashna dahan reh gaya zehra jaaya

aur honton pe thi awaaz e hazeen wavaila

hal min nasirin yan surna...


shahe deen tanha hai aur dasht mein hangame bala

kho ke akbar sa pisar aur shahenshah e wafa

ab bulaye kise nusrat ko shahe karbobala

hal min nasirin yan surna...


kahin khanjar kahin talwaar kahin par naiza

har taraf chaayi hai maqtal mein qayamat ki ghata

haye koi nahi ghamkhaar raha ab mera


aise aalam mein ho alfaaz e shahe karbobala

ab nahi kuch raha hamraah mere gham ke siwa

hil gaya farshe zameen kaamp utha arshe ulaa


haye darya pe laraz utha jari ka laasha

sunke awaaz meri ro diya asghar mera


labbaik labbaik labbaik ya hussain


is sada ka to ye matlab hai ke hum haazir hai

itrat e ahmed e mukhtar ke hum nasir hai

surat e ashk to jazbaat sabhi zaahir hai

kaho labbaik ya hussain kaho labbaik ya hussain


jo shahadat hai usi sheh ke talabgaar hai hum

jaan dene ke liye aal pe tayyaar hai hum

door maqtal se hai par bar sare paikaar hai hum

kaho labbaik ya hussain...


bas zaban se nahi hum dil se hai maula ke ghulam

bas wohi karna hai jo shaah ko matloob hai kaam

zulm ko karte rahenge yuhin ta-dum na-kaam

kaho labbaik ya hussain...


apne aamaal se af'aal se kirdaar se hum

jang karte hi chale aaye hai aghyaar se hum

khauf kuch khaate nahi naiza o talwaar se hum

kaho labbaik ya hussain...


jab bhi labbaik kaha bad gayi zimmedari

nusrat e shaah ki har rukh se ho ab tayyari

deen se qurbat ka safar dunya se ho bedaari

kaho labbaik ya hussain...


maqsad e hazrat e shabbir ho maqsad apna

bas wohi chahiye jis mein shahe deen ki riza

ar kuch bhi nahi darkaar hai is shay ke siwa

kaho labbaik ya hussain...


jaan dene ko hai tayyar azadar e hussain

dayam o yazdan e ghamkhar hai ghamkhar e hussain

john sa hausla rakhte hai fida kaare hussain

kaho labbaik ya hussain...