ya umme abiha ya umme faqiha
ya fatema zehra ya fatema zehra
ay rasool lijiye khabar
jal raha hai fatema ka ghar
aaiye khudara laut kar
jal raha hai fatema ka ghar
shehr e mustafa dhuan dhuan
ro rahe hai arz aur samaa
de rahe hai ro ke ye khabar
jal raha hai fatema ka ghar
kushta e jafa ka tha ye bain
sayyeda ko kab mila hai chain
mehnato ka ye mila samar
jal raha hai fatema ka ghar
sayyeda ki tooti phasliyan
khaaye hai tamache sayliyan
waqt hai kathan kis khadar
jal raha hai fatema ka ghar
haye binte mustafa ka ghar
aur hai hujoom e ahle shar
zulm ho raha hai be khadar
jal raha hai fatema ka ghar
dukhtare nabi pe kya sitam
kar gaya hai wo shaqi raqam
roohe sayyeda hai khoon may tar
jal raha hai fatema ka ghar
allah allah binte mustafa
unke lab pe hai ye marsiya
beti aap ki hai nauhagar
jal raha hai fatema ka ghar
baadalon tumhi madad karo
aag par to pani daal do
dekh lo zameen pe ek nazar
jal raha hai fatema ka ghar
zakhm pe to zakhm aa chuke
haye wo sadayein de kise
jal chuka hai sayyeda ka ghar
jal raha hai fatema ka ghar
baba jaan khabar to lijiye
fatema ki simt dekhiye
aap kya gaye hai chod kar
jal raha hai fatema ka ghar
baad aap ke ye kya hua
pal may ye jahan badal gaya
dekhiye khudara ay pidar
jal raha hai fatema ka ghar
dayam e hazeen wo ghamzada
yazdan pad raha hai marsiya
aaftab nikla nange sar
jal raha hai fatema ka ghar