masjid e kufa may mehboobe khuda zakhmi hua
baad e ahmed jo tha deen ka peshwa zakhmi hua
ibne muljim ki shakhawat ne sitam dhaaya hai ye
hogaya tar lo musalla murtaza ke khoon se
dehr may khaaliq ka jo tha maujiza zakhmi hua
masjid e kufa may...
yaad e maadar aur bhi shiddat se tadpane lagi
ghair haalat hogayi zainab bhi ghash khaane lagi
jab suna masjid may baba be-khata zakhmi hua
masjid e kufa may...
dekh kar manzar ye turbat may payambar ro pade
haalat e sajda may shamsheer e zehar aalood se
be-khata be-jurm nafse kibriya zakhmi hua
masjid e kufa may...
haath phaila kar ali kehte hai ye ay kirdegaar
tu gawara rahiyo ke waqte taa'at e parwardigar
tere sajde may ye tera ba-wafa zakhmi hua
masjid e kufa may...
aayaton ke darmiyan kohraam tha kohraam tha
qaima e quran may charon taraf hangaam tha
waqt e sajda haye faqre ambiya zakhmi hua
masjid e kufa may...
dekh kar hyder ko ubhra lab pe zainab ke sukhan
ab kise baba kahenge boliye bhaiya hassan
hogayi be-amaan baba mera zakhmi hua
masjid e kufa may...
tha yehi bachon ka nauha ya nabi fayrad hai
aaiye behre madad ye sa'at e imadad hai
dekhiye masjid may shaahe do sara zakhmi hua
masjid e kufa may...
sayyeda ka aaj pehlu aur zakhmi hogaya
aur haalat hogayi hai qabr may unki tabaah
ro ke kehti hai ke phir pehlu mera zakhmi hua
masjid e kufa may...
chand taare ro ke karte hai jigar afgaar bain
dayam o yazdan lahoo rote hai behrobar ke nain
kya qayamat aagayi mushkil kusha zakhmi hua
masjid e kufa may...