Kanz e Aza

Masjide Kufa Mein

A noha for Imam Ali (a.s), written by Zafar Abbas (2026). Lyrics in Roman Urdu.

masjid e kufa mein zakhmi hogaya ek rozadaar

zainab o kulsoom ki ab khair ho parwardigar


is namazi ne namak se ki thi sehri ya khuda

ibne muljim ne kiya hai sajda e khaliq mein waar

masjid e kufa mein...


khoon se tar hogayi mehrab zakhmi ay ali

betiyan ghar mein tadap kar kar rahi hai intezar

masjid e kufa mein...


shabbar o shabbir rote hai ali ko dekh kar

masjid e kufa mein hai saare namazi sogwaar

masjid e kufa mein...


dehkh kar hyder ko zakhmi ghash mein hai ummul baneen

aur hai chote se abbas e dilawar ashk baar

masjid e kufa mein...


nauha padta hai musalla hai namazein matami

aaj se hyder ke gham mein hai azaanein gham gusaar

masjid e kufa mein...


dekh kar zainab ko hyder jaane kyun rone lage

dekhti hai bhai ko hasrat se zainab baar baar

masjid e kufa mein...


phaynk kar sar se amaama ro raha hai kyun tabeeb

betiyan baba pe karti hai duaon ka hisaar

masjid e kufa mein...


uth raha tha jab janaza mere maula ka zafar

tha madina ghamzada aur shehr e kufa sogwaar

masjid e kufa mein...