qaid hokar chale to ye bole haram
laashe shaahe zaman alwida alwida
aayi hogi yehi ran se sheh ki sada
meri dukhiya behan alwida alwida
is tarha suye zindan farwa chali
dahste ghurbat mein padkar ye noha chali
teri pamaliyan kaise bhoolungi mai
mere nazuk badan alwida alwida
qaid hokar chale...
laashe akbar pe rokar ye kehti thi maa
qaid hokar chali utho kadiyal jawan
maa phuphi behne balwe mein hai nange sar
akbar e khastatan alwida alwida
qaid hokar chale...
kehti aayi nazar ek maa chashme tar
khaak par so'oge ay noor e nazar
tere zakhmi galay par ho qurban maa
mere ghuncha-dahan alwida alwida
qaid hokar chale...
sochti hoo yehi kaise zinda rahi
dekh kar teri gardan pe chalti churi
qabr tak leke jaungi majaaye mai
dil pe ranj o mehan alwida alwida
qaid hokar chale...
jab ye aayi khabar hogaye sab reha
qaid khane mein ek hashr barpa hua
nanhi turbat pe abid ne rokar kaha
ay sakina behan alwida alwida
qaid hokar chale...
nehr se khafila jab guzarne laga
moo chupa kar ye zainab ne rokar kaha
kaise bechadari dekh payega tu
sher e khyber shikan alwida alwida
qaid hokar chale...
jab reha hoke aaye haram karbala
ay zafar roke zainab ne us dam kaha
mere majaaye gar ho ijazat teri
jaye ab hum watan alwida alwida
qaid hokar chale...