Kanz e Aza

Qaid Khane May Ye

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Ishrat Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

qaid khane mein ye kehti thi sakina bhai

zulm aada ne kiya hum pa ye kaisa bhai

qaid khane mein ye...


chod kar humko madine jo chale jaaoge

ghut ke reh jayegi har ek tamanna bhai

qaid khane mein ye...


maut aajaye agar shaam ke zindan mein hamein

dafn karna inhi kapdon mein janaza bhai

qaid khane mein ye...


ab jagana nahi hum jaate hai sone ke liye

maut ne aa ke bichaya hai bichona bhai

qaid khane mein ye...


mai yahan maut ki aagosh mein so jaungi

sab madine mein mera dekhenge rasta bhai

qaid khane mein ye...


jab se choda hai madine ka bhara ghar hum ne

khaak mein mil gayi har ek tamanna bhai

qaid khane mein ye...


khairiyat meri madine ke jo bache pooche

mujh pa kya guzri unhe kuch na batana bhai

qaid khane mein ye...


jab madine se palat kar kabhi shaam aana ho

saath baaji ko meri qabr pe laana bhai

qaid khane mein ye...


tum ko pani ke liye bhej ke sharminda thi

karbala jaa ke chacha jaan se kehna bhai

qaid khane mein ye...


kehke ishrat ye sakina ne kiya sab ko salaam

hum ko lene ke liye aagaye baba bhai

qaid khane mein ye...