Kanz e Aza

Qaid Khane Mein

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by N. Sarwar & Raza Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

sun rahe ho sada baba jaan baba jaan


hum kahan aa gaye ghar kahan reh gaya

qaid khaane mein nauha sakina ka tha

hum kahan aa gaye ghar kahan reh gaya


yaad aata hai guzra zamana mujhe

le ke baahon may jhoola jhulana mujhe

mai bulaati rahi aur na aaye chacha

hum kahan aa gaye…

qaid khaane mein nauha...


yaad aata hai pyara madina mujhe

phool jaisa wo baba ka seena mujhe

wo zamana koi phir dikha de mujhe

hum kahan aa gaye…

qaid khaane mein nauha...


bhai abid ne chalna sikhaya mujhe

apne haathon se khaana khilaya mujhe

ab usi ke liye hai dawa na ghiza

hum kahan aa gaye…

qaid khaane mein nauha...


hai baba ko dekhe zamana hua

un ke seene pe soye zamana hua

na tumhara pata na hamara pata

hum kahan aa gaye…

qaid khaane mein nauha...


sun rahe ho sada baba jaan baba jaan