Kanz e Aza

Qaide Tanhaai May

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Akhtar Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

qaid e tanhaai may dam ghutne laga hai mera

aa ke seene se lagao baba


mai andhere may akeli hi na mar jaaun kahin

mujhko marne se bachao baba


mai teri yaad may din raat yun tadapti hoo

jaise pinjre may koi ghayal pada ho panchi

maut ka khauf hai sannata hai veerani hai

meri imdaad ko aao baba

qaid e tanhaai may...


mujhko aadat hai tere seene pe sar rakhne ki

chain ki neend bhala kaise zameen par aaye

qaid khaane may to padti hai bala ki garmi

apni godhi may sulao baba

qaid e tanhaai may...


mere dada ne reha kitne kiye thay qaidi

us ki poti hoo magar qaid may majboor hoo mai

naam le kar tera rone nahi deta zaalim

ab meri qaid chudao baba

qaid e tanhaai may...


phupiyon ke bhi bandhe haath pas e gardan hai

wo bhala kaise meri aankhon se aansu poche

be-sahara hoo yateemi ka kada mausam hai

apni soorat to dikhao baba

qaid e tanhaai may...


yaad baysheer ki aati hai mujhe shaam o sahar

us ka jalta hua jhoola bhi nazar aata hai

mujhe mil jao mere marne se pehle aa kar

saath akbar ko bhi lao baba

qaid e tanhaai may...


nok e naiza pe jo karte thay tilawat maula

jaane kya soch ke akhtar ye sakina ne kaha

shaam ke log hai behre ye samajh sakte nahi

in ko quran na sunao baba

qaid e tanhaai may...