Kanz e Aza

Qaid me ashk bahati hai Sakina ab tak

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Qaid mein ashk bahaati hai sakina ab tak

Apne ammu ko bulaati hai sakina ab tak

1. Mere jaisi na yateemi ki bala dekhe koi

Haaye ye nazr dilaati hai sakina ab tak


2. Jaane kistarha se zaalim ne tamache mare

Neele ruqsaar dikhaati hai sakina ab tak


3. Usse bhoola nahi jaata hai pidar ka seena

Shiddat e gham ko samaati hai sakina ab tak


4. Baad e asghar jo wo saaye me nahi baithi hai

Apni maadar ko manaati hai sakina ab tak


5. Usne akbar ke kaleje me sina dekhi hai

Seena akbar ka bhulati hai sakina ab tak


6. Khoon ke aansoo bahaata hai zamaane ka imam

Roti hai aur rulaati hai sakina ab tak


7.

Zameer

hoti hai majlis kahin bhi sarwar ki

Lahad ko chodh ke aati hai sakina ab tak

Kalaam : Janaab Mohibbe Abid Abidi Sahab (Zameer)