Kanz e Aza

Sakina Yeh Kehti Hai Zindaan Mein Baba

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Sare Hussain Asws. Liye God Mein Kehti Hai Sakina (sa)

bada Hi Saqt Hai Apni Museebatein Kehna.

sakina (sa) Yeh Kehti Hai Zindaa'n Mein Baba, Mere Zaqm Dadi Se Maloom Kije.

main Lagne Lagi Kamsini Mein Zayeefa, Mere Zaqm Dadi Se Maloom Kije.

1. Tumhare Bina Mujhko Zinda'n Mein Baba.

mili Ghurkiya'n Aur Mila Taziyaana.

tumhari Mujhe Yaad Aati Thi Baba.

gawara Nahi Tha Use Mera Rona.

mujhe Shimr (la) Ne Aake Maara Tamacha, Mere Zaqm Dadi Se Maloom Kije.


2. Mila Zaqm Ek Aur Dadi Ke Jaisa.

teri Laadli Ka Hai Pehlu Shikasta.

meri Pasliya'n Ab Bhi Zaqmi Hai Baba.

mera Dum Andhere Mein Ghut-ta Hai Baba.

meri Saans Ruk Ruk Ke Aati Hai Baba, Mere Zaqm Dadi Se Maaloom Kije.


3. Rida Sar Se Cheeni Layeeno'n Ne Meri.

mere Haath Rassi Se Baandhe Gaye Hai.

lahoo Mere Kaano'n Se Behta Tha Baba.

mere Goshware Utaare Gaye Hai.

yateemi Ka Mujhko Mila Yun Dilasa, Mere Zaqm Dadi Se Maloom Kije.


4. Bhula Na Sakungi Mai Shaame Ghareebaa'n.

liye Aag Qaime Jalate The Aada (la)

watan Mein Jali Thi Qaba Syeda (sa) Ki

yaha'n Karbala Mein Jala Mera Kurta.

badan Aag Se Mera Jalne Laga Tha, Mere Zaqm Dadi Se Maloom Kije.


5. Main Naaqe Se Girkar Zamee'n Par Padi Thi.

sada Apne Ammu Ko Mai De Rahi Thi.

akeli Bayaba'n Mein Main Dar Rahi Thi.

main Apni Museebat Pe Qud Ro Rahi Thi.

mera Haal Kaisa Tha Us Waqt Baba, Mere Zaqm Dadi Se Maloom Kije.


6. Kumail Aaqri Thi Pidar Se Yeh Baatein.

sakina (sa) Ko Mout Aagayi Rote Rote.

sabhi Bibiyo'n Ne Bhi Sar Apne Peete.

sar e Be Badan Se Bhi Aansoo Rawaa'n The.

pidar Ko Rulata Tha Beti Ka Nauha, Mere Zaqm Dadi Se Maloom Kije.