sakina tanha hai baba sakina zakhmi baba
galay mein rassi hai baba sakina qaidi hai baba
tadapti rehti hoon har dam bahot ghut'ta hai mera dam
mai saansein bhi jab leti hoon to eeza hota hai baba
sakina tanha hai baba...
bahot takleef mein ye laadli beti hai baba jaan
sakina sar se lekar paon tak zakhmi hai baba jaan
mera tan zakhmi hai saara badan se chipka hai kurta
tumhari pyari shehzadi lahoo mein doobi hai baba
sakina tanha hai baba...
mai jab karwat badalti hoon nikal jaati hai jaan meri
ye lagta hai jigar mein chubh rahi hai phasliyan meri
sisakti hoon har karwat par guzar jaati hai shab ro kar
nahi so paati mai pal bhar aziyat itni hai baba
sakina tanha hai baba...
naqahat hai bahot baba chala jaata nahi mujhse
mai thak kar baith'ti hoon jab utha jaata nahi mujhse
bahot mushkil se uth'ti hoon sahara leke chalti hoon
mai kamsin hoon lekin haalat zaeefa jaisi hai baba
sakina tanha hai baba...
ay baba aap ne shimre layeen ka haath dekha hai
mere is phool se rukhsaar par wo haath padta hai
nahi seh paati hoon baba mai ghash kha jaati hoon baba
bahot bhaari hai haath uska sakina choti hai baba
sakina tanha hai baba...
sehem jaati hoon jab zaalim mere nazdeek aata hai
layeen pairon se thokar maar ke mujhko uthaata hai
bahot maara hai zaalim ne bahot darr lagta hai us se
nigahon mein us zaalim ki bahot be-rehmi hai baba
sakina tanha hai baba...
mere baba mai roti hoon tumhara naam jab lekar
tamacha maar deta hai sitamgar mere honton par
andhera sa chaa jaata hai kaleja moo ko aata hai
mere honton pe jab uski anghooti padti hai baba
sakina tanha hai baba...
meri khaatir dua maango mujhe allah de himmat
mai itna thak chuki hoon zulm sehne ki nahi taaqat
nahi jeene ka dil karta yahan sab dete hai eeza
mai har dam sehmi rehti hoon ye haalat meri hai baba
sakina tanha hai baba...
nadeem us ghamzada ke bain thay baba chale aao
dara kar shimr mujhko maar daalega chale aao
mujhe har dam ye lagta sitamgar aane waala hai
har ek lamha mere dil mein ye dehshat baithi hai baba
sakina tanha hai baba...