Kanz e Aza

Ya Mohammada

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Nadeem Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

ya mohammada salle alaika malaikatus'sama

haaza hussainu murammalu bil dema'a


bain zainab ne kiya ro ke duhaai nana

roz o shab aap pe padte hai malk salle alaa

aap ke laal pe ye zulm sar e karbobala

khaak aur khoon mein ghaltan pada hai laasha

ya mohammada...


zulm kaisa ye zamane ne kiya wawaila

kulle emaan ke pisar par ye jafa wawaila

aap jis ke liye kehte thay hussaino minni

baaghi keh keh ke usay maara gaya wawaila

ya mohammada...


jis ki sheh rag mein basi aap ki jaan thi nana

baareha aap liya karte thay jis ka bosa

kund khanjar se mere bhai ka wo sookha gala

baara zarbon mein sitamgar ne kiya tan se juda

ya mohammada...


kya kahun aap se mazloom ki ghurbat nana

yun shariyat ko bhula baithi hai ummat nana

ek kafan tak na diya haye musalmano ne

be-kafan dhoop mein hai bhai ki mayyat nana

ya mohammada...


jaan qurban ho us par ke jo pyasa hi raha

marte dam bhi jise be-rehmon ne pani na diya

jiska seena tha gham o ranj ke toofan se bhara

daagh jo apne dulaaron ka liye dil pe gaya

ya mohammada...


daagh athara baras waale ka

daagh ek chand se shish maahe ka

daagh tasveer e hassan qasim ka

daagh hai qamre bani hashim ka


haye mazloom ne pardes mein kya kya dekha

godh ke paalon ko reti pa tadapta dekha


naujawan laal ki saanson ko ukhadte dekha

aediyan khaak pe akbar ko ragadte dekha


khoon mein tar aun o mohamed ke bhi laashe dekhe

laasha e qasim e naushaah ke tukde dekhe


roya mazloom ki mazloomi pe darya haye

bhai ne bhai ko dam todte dekha haye


manka cheh maah ke baysheer ka dhalte dekha

khoon nanhe ali asghar ko ugalte dekha

ya mohammada...


ay nadeem arz e bala kaamp rahi thi us dam

bhai ki laash pe karti thi behan jab matam

roke deti thi sada zainab e muztar paiham

leke jaati hoon mai pardes se bhai ka gham

ya mohammada...