Kanz e Aza

Ya zainab -o- ume kulsum aley kunna minni salaam

A noha for Imam Hussain (a.s), recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

ya zainab -o- ume kulsum aley kunna minni salaam

jata hai yeh mazloom khuda hafiz -o- nasir

aye zainab -o- kulsum khuda hafiz -o-nasir

1. kuch dair mein lut jayega zehra ka bhara ghar

har simt qayamat ka nazar ayega manzar

rakhenge sitamgaar yeh naize pe mera sar


jata hain yeh mazloom . . . . .


2. baaqi nahi akber sa pisar kya karoo jikar

mitne ko nahi daag -e- jigar kya karoo jikar

aata nahin ab kuch bhi nazar kya karoo jikar


jata hain yeh mazloom . . . . .


3. hum kho chuke maqtal me behen noore nazar ko

dekha hai inn aankhon ne ujadtey huwe ghar ko

maulat nahi ab fatima zehra ke pisar ko


jata hain yeh mazloom . . . . .


4. kya hoga suno phir yeh batana nahi hoga

jata hoo ke ab laut ke aana nahin hoga

seeney pe sakina ko sulana nahin hoga


jata hain yeh mazloom . . . . .


5. kya zulm sitamgar na dhayenge mere baad

yeh qaima e athaar jalayenge mere baad

yeh meri sakina ko rulayenge mere baad


jata hain yeh mazloom . . . . .


6. tanhaayi meri karti hai abbas ka matam

binaayi sada roti hain akber ka liye gham

mehshar mein batayenge har ek daag jigar hum


jata hain yeh mazloom . . . . .


7. abbas nahin qasim -o- akber bhi nahi hain

veeran hain jhoola mera asghar bhi nahi hain

lashkar ke muqabil mera lashkar bhi nahi hai


jata hain yeh mazloom . . . . .


8. hum hoyenge be aas nahi koi saharey

cheenengey sitamgar rida sar se tumharey

yeh kehke fareed ibne ali ran ko sidharey


jata hain yeh mazloom . . . . .