Kanz e Aza

Ye Inayato ki Jaza

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

ye inayaton ki jaza mili

ye hidayaton ka sila diya

wo charagh qabre nabi ka tha

jise karbala mein bujha diya


ye hussain tera hi kaam tha

ke sab apne laal fida kiye

tujhe un sitaron ne doob kar

shab e gham ka chand bana diya


ye ali ke laal ki himmatein

ye sina o teer ki dawatein

kabhi naujawan ka jigar diya

kabhi bezaban ka gala diya


kaho dil kahan se ye layenge

jo hussain qaime mein jayenge

jise maa ki godh se laaye thay

usay zer e khaak sula diya


na hussain ghode pe tham sake

jo sada azan ki buland thi

wo namaz e asr ka waqt tha

ke zameen pe khud ko gira diya


teri sarfaroshi ki shaan thi

jo hayat e deen e khuda bani

na mila kisi ko hayat mein

tujhe maut ne jo maza diya


chaman aap apna mita gaye

ke bahaar e deen e khuda rahe

na jama jo rang bahaar se

to lahoo bhi apna mila diya