ye kaifiat jo gham o alam ki
tamam aalam pe cha rahi hai
nabi ki dilbar ke khoon ki kushboo
fiza mein ab tak sama rahi hai
nabi se dunya ki zeb o zeenat
nabi ki jaanib bula rahi hai
hussain ki yaad dil se lekin
har ek har khwahish mita rahi hai
ye kaifiat jo...
ye chaah hai gham dilon pe chaaye
khayal e baatil dilon se jaaye
nabi ki itrat hamare khaatir
har ek musibat utha rahi hai
ye kaifiat jo...
furaat ki simt dekh kar yun
sakina kehti thi pyare ammu
zara bhatiji ko aa ke dekho
sitam ke sadme utha rahi hai
ye kaifiat jo...
sakina kehti thi bhaiya asghar
na aaye tum laut kar abhi tak
lo ab to aao behan tumhari
ye khaali jhoola jhula rahi hai
ye kaifiat jo...
hussain ki laadli sakina
padar ke seene pe sone waali
chacha se chooti padar se bichdi
tamache zaalim ke kha rahi hai
ye kaifiat jo...
har ek sheh is ke hukm mein hai
magar ye eesaar allah allah
ali ki beti hamare khaatir
rasan mein baazu bandha rahi hai
ye kaifiat jo...
habeeb e rab ki nawasiyan jo
barehna sar izdahaam mein hai
hawa musalsal ghubaar uda kar
saron pe chadar udha rahi hai
ye kaifiat jo...
asad wo keena ke ghasbe haq se
har ek burayi se bas hamesha
hussain ki yaad haq ki jaanib
nadeem tujhko bula rahi hai
ye kaifiat jo...