qaid ho kar jo suye shaam chali binte ali
pahunch kar laash e baradar pe buka karne lagi
tu mere baalon pe khaak daal de
mai tere laashe pe khaak daal doo
tu mujhe rida de de mai tujhe kafan de doo
alwida hussain alwida
dasht mein tujhko layeeno ne kafan bhi na diya
cheen li sar se mere haye sitamgar ne rida
na raha koi madadgaar sar e dasht e bala
tu raha bekafan mai aseer e mahan
mai hui berida tu ghareeb ul watan
tu mere baalon pe...
tera laasha hua pamaal sar e karbobala
haye tukde hua zainab ka jigar wawaila
aayi be-saakhta bhai mere honton pe sada
ye sitam kya hua mera ghar lut gaya
koi yawar nahi kya karun mai bhala
tu mere baalon pe...
mere mazloom baradar mai tujhe deti kafan
haye pardes mein majboor hui teri behan
yaad aata hai mere bhai mujhe mera watan
dard se choor hoo gham se ranjoor hoo
imtehan hai mera haye majboor hoo
tu mere baalon pe...
jo mere dil pe guzarti hai bayan kaise karun
jo lage zakhm jigar par wo ayan kaise karun
mai bhala sabr mere tashna dahan kaise karun
khaak udaungi mai gham uthaungi mai
kis tarha berida shaam jaungi mai
tu mere baalon pe...
ye tera jism nahi khoon mein tar hai quran
nok e naiza se chini chadar e tatheer yahan
beridayi ka hai ehsaas mere dil pe garan
mai karungi ada jo mera farz hai
mere bhai magar ye meri arz hai
tu mere baalon pe...
binte zehra pe qayamat ki ghadi hai bhai
bekafan ran mein teri laash padi hai bhai
aur behan dasht mein be-aas khadi hai bhai
mai jigar thaam kar reh gayi khaak par
apni hamsheer par ek ehsaan kar
tu mere baalon pe...
waqt e ruqsat ye layeen hum pe sitam dhayenge
bar sar e nok e sina tera ye sar layenge
berida mujhko bhi bazaar mein le jayenge
tera dil royega zakhm wo paungi
suye bazaar mai berida jaungi
tu mere baalon pe...
kya qayamat ka wo manzar tha nadeem o safdar
laasha e shaah tadapta tha ye naale sun kar
aur sar peet ke kehti rahi binte hyder
alwida khastatan alwida bekafan
alwida bewatan alwida pur mahan
tu mere baalon pe...