awaaz de rahi thi
maqtal mein laashe sarwar
kya dhoondti ho maadar
laashe pe mere aa kar
amma hussain hoo mai
seene pe haath rakh do
shayad ke chain aaye
mumkin nahi nazar ab
tumko hussain aaye
laasha hai mera be-sar
amma hussain hoo mai...
tum choomti thi jis ko
amma ye wo gala hai
khanjar se kat chuka hai
ab khoon ris raha hai
pehchan mujhko maadar
amma hussain hoo mai...
wo dekho laashe akbar
naize mein dil hai jis ka
tanha uthaaya maine
is ka jawan laasha
tukde jigar hai maadar
amma hussain hoo mai...
deti hai maa tadap kar
asghar ko jab sadayein
bano ko dhoondti hai
baysheer ki nigahein
lagti hai chot dil par
amma hussain hoo mai...
amma mai kho chuka hoo
abbas jaisa bhai
baazu utha liye thay
mayyat nahi uthaayi
aaya hoo sab luta kar
amma hussain hoo mai...
jaayegi ab samar na
taa hashr maa yahan se
kehtii thi laashe sarwar
ab bhi raza ye maa se
baithi raho yahan par
amma hussain hoo mai...