amma mai jaa raha hoo deen e khuda bachane
phir aaun ya na aaun wapas khuda hi jaane
akbar mera karega nana ki tarjumani
dega khuda ke deen ko maqtal may naujawani
phir aaun ya na aaun wapas khuda hi jaane
amma mai jaa raha hoo…
kehte hui ye sheh ki awaaz thar tharayi
de dunga raahe haq my abbas jaisa bhai
phir aaun ya na aaun wapas khuda hi jaane
amma mai jaa raha hoo…
qasim ki laash ke bhi tukde uthaunga mai
baysheer ki lehad bhi ran may banaunga mai
phir aaun ya na aaun wapas khuda hi jaane
amma mai jaa raha hoo…
meri behan jo mujhko hai jaan se bhi pyari
sun'ni hai us behan ki maqtal may aah o zaari
phir aaun ya na aaun wapas khuda hi jaane
amma mai jaa raha hoo…
sar ko kataunga mai ghar ko lutaunga mai
nana se jo kiya hai waada nibhaunga mai
phir aaun ya na aaun wapas khuda hi jaane
amma mai jaa raha hoo…
is tarha se karunga ayaat ki hifazat
naize pe bhi karunga quran ki tilawat
phir aaun ya na aaun wapas khuda hi jaane
amma mai jaa raha hoo…
ye maa bhi chal rahi hai tere saath gham uthane
tu jaa raha hai beta karbobala basane
phir aaun ya na aaun wapas khuda hi jaane
amma mai jaa raha hoo…
veraan hai madina veraan hai haveli
maa kya karegi dukhiya reh kar yahan akeli
phir aaun ya na aaun wapas khuda hi jaane
amma mai jaa raha hoo…
din honge aafaton ke ghurbat ki raat hogi
is maut ke safar may maa saath saath hogi
phir aaun ya na aaun wapas khuda hi jaane
amma mai jaa raha hoo…
maa saath saath pahunchi bete ka gham manane
aayi nazar ye dukhiya har laash ke sirhane
phir aaun ya na aaun wapas khuda hi jaane
amma mai jaa raha hoo…