Kanz e Aza

Asghar Haye Asghar

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

asghar haye asghar


haye baysheer mere reh gaya jaake kahan

dashte ghurbat mein kahan dhoondne jaye ye maa


aa gayi shaam e sitam hogaye gehre saaye

cha gaya dashte bayaban mein andhera haye

jo guzarti hai mere dil pe karoo kaise bayan

haye baysheer mere...


bin tere laal mujhe chain nahi aata hai

yaad aati hai teri dil mera ghabrata hai

godh mein aaja meri mere bete meri jaan

haye baysheer mere...


tu mujhe rota hua chod gaya hai jab se

dhoonti phirti hoo mai dashte musibat mein tujhe

koi batlata nahi hai mera chand kahan

haye baysheer mere...


khoon barasta kahin laashe pade hai ran mein

khaak par baithi hai shehzadiyan ujde ban mein

koi mazloomo ki ab sunta nahi aah o fughan

haye baysheer mere...


jo hai tatheer ke waaris wo huwe khaak basar

jal gaye qaime ridayein bhi nahi hai sar par

dekh to aa ke zara hai qayamat ka samaa

haye baysheer mere...


is khadar zulm sahe itne yahan gham paaye

maang bhi ujdi meri godh bhi ujdi haye

haal par mere hui bekasi nauha kuna

haye baysheer mere...


jab nahi aaya pisar dashte bala se gohar

khaak par gir padi maa rote huwe ye keh kar

ab kise loriyan de de ke sulayegi ye maa

haye baysheer mere...