asghar ka lahoo jab na liya arz o samaa ne haye
chehre pe mala khoon shahe karbobala ne
kya jurm tha cheh maah ke bacche ka khudaya
kyun cheda hai asghar ka gala teer e jafa ne
asghar ka lahoo...
baysheer ne jaan apni fida kar di padar par
nusrat ke liye di thi sada shaahe huda ne
asghar ka lahoo...
tu dekhle shabbir ki aaghosh may ya rab
aaya hai tera deen ye baysheer bachane
asghar ka lahoo...
farmate thay shabbir hifazat se tu rakhna
hai dafn yahan karbobala mere khazane
asghar ka lahoo...
aaja mere bacche mai teri pyaas pe sadqe
khud aayegi maa ran may tujhe pani pilaane
asghar ka lahoo...
sar nok e sina par na chadaye kahin zaalim
shabbir chale laasha e baysheer chupane
asghar ka lahoo...
jab qaime may aaya ali asghar ka janaza
kohraam bapa kar diya maadar ki fughan ne
asghar ka lahoo...
sibtain bhala kaise bhulayega zamana
jang jeetli baysheer ki masoom ada ne
asghar ka lahoo...