Kanz e Aza

Alamdar Kahan Ho

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Sibtain Kazmi. Lyrics in Roman Urdu.

karti thi buka zainab e ghamkhwar

alamdar kahan ho


beparda haram hai sar e bazaar

alamdar kahan ho


jab se mujhe dar pesh hui teri judaai

tareek nazar aane lagi saari khudayi

zainab hai masayib mein giraftaar

alamdar kahan ho

karti thi buka...


maara jo kabhi shimr e sitamgar ne tamacha

masoom sakina ne tera naam pukara

bacchi ko madad hai teri darkaar

alamdar kahan ho

karti thi buka...


yasrab mein kabhi mera qadam ghar se na nikla

bas thi meri dunya bani hashim ka mohalla

ab mera safar hai sar e bazaar

alamdar kahan ho

karti thi buka...


beparda sar e shaam haram hote hai tash'heer

rota hai lahoo noke sina par sar e shabbir

ay aale mohamed ke madadgaar

alamdar kahan ho

karti thi buka...


hote hai bade zulm o sitam ahle haram par

durre kabhi khaate hai kabhi khaate hai pathar

sadaat pe haste hai sitamgaar

alamdar kahan ho

karti thi buka...


ye aa gayi taqdeer kahan aale aba ki

ye fauj e jafakaar hamein kehti hai baaghi

is tanz ko sun kar hoo dilafgaar

alamdar kahan ho

karti thi buka...


hai haath rasan basta nahi sar pe ridayein

sadaat bhala behre madad kis ko bulayein

hai shaam ka rasta bada dushwaar

alamdar kahan ho

karti thi buka...


dekhi nahi jaati mere sajjad ki haalat

chalne bhi nahi deti usay uski naqaahat

mar jaaye na gham se kahin bemaar

alamdar kahan ho

karti thi buka...


sibtain mai bhala kaise likhun shaam ka manzar

jab shaam ke bazaar mein saydaniya safdar

kehti thi ye har baar

alamdar kahan ho

karti thi buka...