alamdare hussain
karbala waalon ka pyara hai alamdare hussain
be-saharon ka sahara hai alamdare hussain
ye khayaal aata hai ghazi tere parhcam ke talay
arsh se taygh e yadullah ki tarha haq ne
tera parcham bhi utaara hai alamdare hussain
karbala waalon ka...
keh raha hai yeho sardaab mein pani ruk kar
roz e ashoor se ab roz e jaza tak mukh par
tera bas tera ijaara hai alamdare hussain
karbala waalon ka...
kul ke maula ne duaon mein khuda se maanga
fatema zehra ne bhi tumko kaha hai beta
ye sharaf bhi to tumhara hai alamdare hussain
karbala waalon ka...
ye pukara tha sar e karbobal deen e nabi
meri taqdeer ka maalik hai hussain ibne ali
meri qismat ka sitara hai alamdare hussain
karbala waalon ka...
saari dunya pe ayan hoga tera jaah o hasham
ek din aayega har ghar pe sajega ye alam
sab pukarenge hamara hai alamdare hussain
karbala waalon ka...
jis se khul jaata hai insan ka jauhar wo bhi
jis se banta hai zamane ka muqaddar wo bhi
tere abroo ka ishaara hai alamdare hussain
karbala waalon ka...
sab se anmol bhala kyun na wohi kehlaye
tere parcham ke talay tere alam ke saaye
hum ne jo waqt guzara hai alamdare hussain
karbala waalon ka...
kis tarha bhoolenge us aalam e tanhaai ko
jis mein zehra ke dulaare ko tere bhai ko
ghayr ke laakhon ne maara hai alamdare hussain
karbala waalon ka...
har qadam bali sakina ka tamache khaana
raahe pur khaar mein bacchi ka tadapna rona
kis tarha tum ko gawara hai alamdare hussain
karbala waalon ka...
dar pe abbas ke izhaar koi bhi aaya
shadman hoke wo kehta hua yehi lauta
be-saharon ka sahara hai alamdare hussain
karbala waalon ka...