Kanz e Aza

Baba Ko Kaise Bulaun

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Ali Izhaar. Lyrics in Roman Urdu.

sochte thay ye maqtal may akbar

ran may baba ko kaise bulaun


phal hai barchi ka seene ke andar

ran may baba ko kaise bulaun


mere seene may tooti hai barchi

hai lahoo mere seene se jaari

kaise dekhenge baba ye manzar

ran may baba ko...


saans meri ukhadne lagi hai

chand lamho ki ab zindagi hai

kya karenge wo maqtal may aakar

ran may baba ko...


choomte thay jise roz baba

pesh e sarwar jo kham hi raha tha

khaak o khoon may bhara hai wohi sar

ran may baba ko...


khaake naiza zameen par gira hoo

dard jitna bhi hai seh raha hoo

dekh kar mujhko honge wo muztar

ran may baba ko...


hai shahe deen pe waqt e musibat

ho chuke haye ammu bhi ruqsat

ab kahan hai koi unka yawar

ran may baba ko...


mai tadapta hoo reti pe ban may

ho raha ha izafa dukhan may

aake tadpenge maqtal may sarwar

ran may baba ko...


mai pukarunga baba ko jis dam

honge qaime may jab shaah pur nam

meri haalat samajhlegi maadar

ran may baba ko...


tha ye izhaar nauha jawan ka

aayenge ran may jab mere baba

khayenge wo to thokar pe thokar

ran may baba ko...