laila ke chand akbar kadiyal jawan akbar
hasrat se jawan laal ko maa dekh rahi hai
rukhsat ki ghadi hai
akbar chale marne ko qayamat si machi hai
rukhsat ki ghadi hai
maa ro ke ye kehti hai zara rehm to khao
akbar nahi jao
thaame huwe daaman ko sakina bhi khadi hai
rukhsat ki ghadi hai
hasrat se jawan laal...
hai shaak judaai jo bahot qalbe hazeen par
akbar se lipat kar
faryad kuna giriya kuna binte ali hai
rukhsat ki ghadi hai
hasrat se jawan laal...
har bibi se ro ro ke yehi kehti rahi maa
sab reh gaye armaan
sehra na bandha aur na mehndi hi saji hai
rukhsat ki ghadi hai
hasrat se jawan laal...
jo chaahne waale hai wo maujood hai saare
akbar ko hai ghere
par haye re taqdeer ke sughra ki kami hai
rukhsat ki ghadi hai
hasrat se jawan laal...
kar de wo tujhe maut ke kis tarha hawale
ay gaysuon waale
wo dekh le maa khaak pe ghash kha ke giri hai
rukhsat ki ghadi hai
hasrat se jawan laal...
tu jayega akbar to zara soch le hoga
kya haal padar ka
inki to abhi se hi kamar toot gayi hai
rukhsat ki ghadi hai
hasrat se jawan laal...
akbar jo chale marne ko dilgeer hai ghazi
dekhe to ye koi
abbase alamdar ki aankhon mein nami hai
rukhsat ki ghadi hai
hasrat se jawan laal...
ay shadman izhaar bhala roye na kyun kar
bas aisa tha manzar
qaime se ke jaise koi mayyat si uthi hai
rukhsat ki ghadi hai
hasrat se jawan laal...