Kanz e Aza

Sarwar Ko Maarna

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Waiz Sultanpuri, Ali Raza Surani, Mazhar Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

dushman ko bhi maloom tha sarwar ka jahan hai

hamshakle payambar hai ye shabbir ki jaan hai


aapas mein kar rahe thay sitamgar ye mashwara

sarwar ko maarna hai to akbar ko maar do


marna hai is jawan ka marna hussain ka

sarwar ko maarna hai to akbar ko maar do


kaante pade hai pyaas se iski zaban par

lekin taras na khaiyo sarwar ki jaan par

peeche se chup ke waar karo is jawan par

hoga ye waar muttalabi khandan par

bach kar na jaane paaye ye tasveer e mustafa

sarwar ko maarna hai...


aage badho rasool ki kheti ujaad do

naiza jawan laal ke seene mein gaad do

zehra ke aur ali ke kaleje ko phaad do

jaldi karo hussain ki saansein ukhaad do

mar jayenge hussain agar ye juda hua

sarwar ko maarna hai to...


sabr o raza ki had se guzar jayenge hussain

lekin pisar ka daagh na seh payenge hussain

aisa jigar kahan se bhala layenge hussain

akbar ki laash dekh ke mar jayenge hussain

un ko shikast dene ka hai ek raasta

sarwar ko maarna hai to...


hamshakle mustafa hai niraala hai ye jawan

ye bhi rahe khayaal ke aala hai ye jawan

zehra ke poore ghar ka ujaala hai ye jawan

binte ali ki godh ka paala hai ye jawan

is naujawan mein hai basa dil hussain ka

sarwar ko maarna hai to...


atthara saal paal ke jisko jawan kiya

wo dilbare hussain hai hamshakle mustafa

ye gham hussain par hai masayib ki inteha

bete ka sehra dekh na paayein shahe huda

inaam tum yazeed se lena bohat bada

sarwar ko maarna hai to...


chaaron taraf se gher ke maaro isay sina

dil tak jo jaaye tod ke akbar ki phasliyan

dekhein jo zakhm shah to nikle badan se jaan

ho jaaye is diyaar mein be-aas be-amaan

akbar ke baad jee nahi sakte shahe huda

sarwar ko maarna hai to...


yawar koi nahi hai wo kis ko bulayenge

tanha hussain laasha e akbar pe aayenge

jab apne naujawan ko zinda na payenge

khud maut ko hussain gale se lagayenge

khanjar ko saunp denge wo sookha hua gala

sarwar ko maarna hai to...


sarwar ko ek pal na sukoon aur qaraar do

is sakht imtehan se sheh ko guzaar do

pushte faras se khaak pe is ko utaar do

barchi uthao seena e akbar pe maar do

tukde kaleja hoga isi gham se dekhna

sarwar ko maarna hai to...


maqtal ki simt daudte jaate rahe hussain

aankhon se khoon ke ashk bahate rahe hussain

girte thay jab to khud ko uthaate rahe hussain

ro ro ke ye sada bhi lagate rahe hussain

abbas fauje shaam ka naara suno zara

sarwar ko maarna hai to...


waiz bhi ashkbaar hai mesum bhi nauha gar

mazhar bhi ro raha hai hussain e ghareeb par

sun kar bayan ye rota hai surani har bashar

baithe layeen chain se akbar ko maar kar

lekin fiza mein goonj rahi thi yehi sada

sarwar ko maarna hai to...