musibat ki ghadi aur shaam ke badte hue saaye
tadapti reh gayi maa aur ail akbar nahi aaye
musibat ki ghadi
guzar jaana hi likha hai jawani mein agar ya rab
guzarne se ali akbar ke pehle maa guzar jaye
musibat ki ghadi
wohi andaza kar sakta hai dard e qalbe laila ka
nazar ke saamne jiske jawan beta sina khaaye
musibat ki ghadi
jawan ki laash peeri mein uthana ek qayamat hai
ye din allah dunya mein kisi ko bhi na dikhlaye
musibat ki ghadi
sambhal kar khenchiyega qalbe akbar se sina maula
ulajh kar nauke naiza mein jigar bahar na aa jaye
musibat ki ghadi
zameen tharra gayi akbar ka laasha rakh ke reti par
hussain ibne ali jab shukr ka sajda baja laaye
musibat ki ghadi
ze sar ta paon zakhmi hogaya lakhte dil e zehra
layeeno ne tan e sarwar pe itne teer barsaye
musibat ki ghadi
mai zakir hoo hussain ibne ali ka ye dua kijay
sharaf ye nasl se meri qayamat tak nahi jaaye
musibat ki ghadi