Kanz e Aza

Shabbir Dondta Hai Akbar Kahan Gira Hai

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Akbar (as) Kahan Gira Hay


Itna Zaeef Ho Gaya Ata Nahi Nazar , Ata Nahi Nazar

Akbar (as) Ki Lash Say Yung Hi Kehta Guzar Gaya


Kham Aa Gaya Kamar Main Jata Nahi Chala , Jata Nahi Chala

Bazu Kay Bal Chala Aor Hontong Pay Yea Sada Hay

Akbar (as) Kahan Gira Hay


Uthnay Ki Koshishon Main Ja Muu Kay Bal Gira , Ja Muu Kay Bal Gira

Ik Kanpti Awaz Main Abid(as) Nay Jab Suna Hay

Akbar (as) Kahan Gira Hay


Aya Jo Pass Lash Kay Ata Nahi Yaqeen , Ata Nahi Yaqeen

Barchi Pay Hath Hay Magar Shabbir (as) Sochta Hay

Akbar (as) Kahan Gira Hay