shabbir hai safar may aur saath zahra saani
dohrayi hasbuna ki ummat ne phir kahani
kaabe ke maalikon ke ehraam khol daale
aayat e innama ki kuch bhi khadar na jaani
shabbir hai safar may...
nau khez khoon e akbar hai deen ki ragon may
khaayam hai jis ka sadqa islam ki jawani
shabbir hai safar may...
mukhtaar unke bacche hai aab aab karte
farte haya se darya hota hai pani pani
shabbir hai safar may...
quran tazkira hai aale nabi ke ghar ka
khoon e rag e shaheedan tafseer hai purani
shabbir hai safar may...
hai ilteja raza ki pesh e safeer e akbar
aankhon se khoon ban kar tapke teri kahani
shabbir hai safar may...