abbas ka gham hum karte hai
hum apna lahoo zam karte hai
darya pe gaya laane pani
nazron mein sakina thi pyasi
abbas e dilawar sher e jari
oonchayi pe parcham karte hai
abbas ka gham...
hai sher tarayi par biphra
ghazi ko koi kya rokega
darya pe wo qabza kar ke kaha
jo chahenge wo hum karte hai
abbas ka gham...
mashkeeza chida tooti hai aas
pani nahi pahuncha hai ehsaas
sharminda bhatiji se abbas
ehsaas ye paiham karte hai
abbas ka gham...
ghode se gira abbas e jari
aaqa lo khabar aakar uski
sheh bole kamar tooti meri
sheh rote hai matam karte hai
abbas ka gham...
qaime mein alam laaye sarwar
sab bibiyan kehti hai ro kar
ab zulm o sitam honge hum par
saqqe ka sabhi gham karte hai
abbas ka gham...
aaya hai alam ammu hai kahan
maangungi na pani aao yahan
lab par ye sakina ki hai fughan
shikwa na yahan hum karte hai
abbas ka gham...
chauda sau baras ke baad abhi
lagta ha ke gham kul hai yehi
rote hai malayek aur nabi
har aankh wo pur nam karte hai
abbas ka gham...
dekho to zara matam ka asar
har saal se hota hai bad kar
yaad aata hai karbal ka manzar
matam na kabhi kam karte hai
abbas ka gham...
hai aap ke baad ye haal chacha
durre wo tamachon ka lagna
ro ro ke sakina ne ye kaha
is tarha basar hum karte hai
abbas ka gham...
abbas ke ay matamdaron
kismat pe sabhi tum naaz karo
sab mil ke raza awaaz ye do
maula tera matam karte hai
abbas ka gham...