karbobala may dekh ke bikhre huwe laashe
har laasha e besar par bahot royi hai zahra
sar saare shaheedon ke jab aaye sare naiza
zahra ne kaha dekh ke abbas ka laasha
haye shaam haye bazaar haye ghairat e abbas
naizon par nazar aata hai abbas ka laasha
sab ko lahoo rulwaata hai abbas ka laasha
sambhla na gaya laashe pa zahra ne giraya
phir seene se laashe ko yehi keh ke lagaya
shabbir ke laashe sa hai abbas ka laasha
naizon pa nazar aata hai...
jaise hi kaha shaah ne sheron mere utho
labbaik kaho uthke hussain ibne ali ko
ye sunke bahot tadpa hai abbas ka laasha
naizon pa nazar aata hai...
barsaat tamachon ki sakina pa hui hai
hadh zulm o sitam ki ye yateema pa hui hai
har zulm pa sar patka hai abbas ka laasha
naizon pa nazar aata hai...
sarwar ne wilayat ke liye sar ko kataya
asghar ne wilayat ke liye teer hai khaaya
paigham yehi deta hai abbas ka laasha
naizon pa nazar aata hai...
qaime jo jale roke ye zainab ne sada di
ghazi na raha chin gayi behno ki rida bhi
ye dekh ke khoon rota hai abbas ka laasha
naizon pa nazar aata hai...
thay zakhm bahot sar pa tere ay mere ghazi
nauha ye padha karte hai tanhaai may mehdi
khoon ghaib may rulwaata hai abbas ka laasha
naizon pa nazar aata hai...
irfan se kehta hai jo gham aale nabi ka
nasir ho ya ho koi bhi ghamkhwar ali ka
har lafz pa yaad aata hai abbas ka laasha
naizon pa nazar aata hai...