Kanz e Aza

Abbas ka Parcham

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mazher Abedi. Lyrics in Roman Urdu.

abbas ka parcham mujhe jis ja nazar aaya

mashkeeza wahin dukhtare sheh ka nazar aaya


haathon se jigar saaqiye kausar ne sambhala

jab tashna dahan unka khabeela nazar aaya

abbas ka parcham...


dunya mein usay milgayi jannat ki basharat

gham mein jo shahe deen ke rota nazar aaya

abbas ka parcham...


sairaab kiya saaqiye kausar ke pisar ne

jab lashkare hurr dasht mein pyasa nazar aaya

abbas ka parcham...


hota hai jahan matame farzande payambar

ghazi ka alam bhi wahin uncha nazar aaya

abbas ka parcham...


kya guzri na jaane dil e maadar pe elaahi

jab khoon mein tar bete ka laasha nazar aaya

abbas ka parcham...


nazron mein wohi phir gayi tasveere sakina

ghazi ko jo behta hua darya nazar aaya

abbas ka parcham...


islam ki tareekh mein chauda sau sadi se

khanjar ke talay ek hi sajda nazar aaya

abbas ka parcham...


gardan pe laga teer magar daste pidar par

hasta hua shabbir ka pyara nazar aaya

abbas ka parcham...


kehte hai khaleel aaj mili khaab ki tabeer

sehra mein jo shabbir ka laasha nazar aaya

abbas ka parcham...


aankhon se meri ashk chalakne lage mazhar

jab jab bhi mujhe pani ka kooza nazar aaya

abbas ka parcham...