haye abbas haye haye abbas
ghairat ka aasman zainab ka sayeban
kaise zainab ki taraf dekhta abbas ka sar
sharm se khaak pe girta raha abbas ka sar
shaam ke logon ne pathar se kiya isteqbal
jun hi bazar mein daakhil hua abbas ka sar
kaise zainab ki taraf...
yun bhi is sar se liya badr o ohad ka badla
hoo ba hoo baba ali jaisa tha abbas ka sar
kaise zainab ki taraf...
wo sina par bhi na aaqa ke barabar aaya
sheh ki ta'zeem mein jhukta raha abbas ka sar
kaise zainab ki taraf...
paon ke aabile abid ko kahan yaad rahe
jab gira garm zameen par gira abbas ka sar
kaise zainab ki taraf...
yun bhi baandha gaya rahwaar ki gardan se isay
zulm nazdeek se dekhe zara abbas ka sar
kaise zainab ki taraf...
pehle chadar se lahoo saaf kiya zainab ne
saath asbaab ke jis dam mila abbas ka sar
kaise zainab ki taraf...
nehr pe jis ghadi abbas ne dam toda tha
dilbar e zahra ki godhi mein tha abbas ka sar
kaise zainab ki taraf...
yaad zeeshan sar e shere khuda aane laga
gurz se aise shikasta hua abbas ka sar
kaise zainab ki taraf...