Kanz e Aza

Abbas ka Sar

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

aale nabi ka khaafila bazaar jo pahuncha

chehre thay zard gham se saron par na thi rida

ghazi ka sar jo naize se aaya zameen par

fizza ne dil ko thaam ke nauha yehi kiya


na dekh sakega zainab ko

haye be-chadar abbas ka sar

rukta hi nahi hai naize par

dauran e safar abbas ka sar


sajjad se zainab kehti thi

manzar wo dekh na paungi

ye zulm hua to mere pisar

ro ro ke yahin mar jaungi

naaqe ke galay mein daal diya

zaalim ne agar abbas ka sar

rukta hi nahi hai...


girti hai wo pusht e naaqa se

ye baar uthana mushkil hai

ammu se bhatiji ki ulfat

kya hai ye batana mushkil hai

naaqe pe sakina rukti nahi

aur naize par abbas ka sar

rukta hi nahi hai...


ye zakhm kabhi bhar sakta nahi

bhulega dil e hassaas nahi

baba ki shahadat par roya

phir roya kabhi abbas nahi

karbal se yahan tak rota raha

har manzil par abbas ka sar

rukta hi nahi hai...


zindan se watan jaa kar bhi hum

aaram se kab so payenge

jab band karenge aankhon ko

manzar wo hamein tadpayenge

shabbir ka qasim o akbar ka

baysheer ka sar abbas ka sar

rukta hi nahi hai...


sajjad batana chaahun agar

tujhse bhi nahi keh paaungi

kuch zakhm e jigar to aise hai

jo qabr talak le jaaungi

shabbir ka sar baazu mein rasan

akbar ka jigar abbas ka sar

rukta hi nahi hai...


safdar wo qayamat ka manzar

likhte huwe mazhar rota tha

kehti thi behan aaja ghazi

aur shimr ye has kar kehta tha

kya teri madad ko aayega

ay nauhagar abbas ka sar

rukta hi nahi hai...