hussain hussain ya hussain
koi nahi door tak koi nahi
jaisa mera hussain
waisa koi bhi nahi
aisa dunya mein koi hai na hoga
hussain wo baadshah hai jo mulkon pe nahi
dilon pe hukumat karta hai
hussain hamara hai
jaan se bhi pyara hai
aankhon ka taara hai
sab ka sahara hai
aisa mera hussain
mera maula hussain
hussain hussain hussain
hussaina hussaina
aisa mera hussain
aisa mera hussain
mera maula hussain
aisa mera hussain
hussain hussain hussain
hussaina hussaina
is ke liye hi saari dunya bani hai
jo is ko maane wohi panjtani hai
har dil pe raaj uska
sab kuch hai aaj uska
kehne waalon kaho
sun'ne waalon suno
padhne waalon padho
likhne waalon likho
aisa mera hussain
aisa mera hussain
mera maula hussain
aisa mera hussain
hussain hussain hussain
hussaina hussaina
haq pe hai kaun tu ne sab ko bata diya
naam e yazeed ko gaali bana diya
wo murda baad raha
tu zinda baad raha
waada nibha gaya
sar ko kata gaya
ghar ko luta gaya
zehno pe chaa gaya
aisa mera hussain
aisa mera hussain
mera maula hussain
aisa mera hussain
hussain hussain hussain
hussaina hussaina
wo sadi bhi thi ghame hussain ki
ye sadi bhi hai ghame hussain ki
har sadi hai bas ghame hussain ki
maula se dil ka rishta
kal bhi tha aaj bhi hai
is ka parcham to ooncha
kal bhi tha aaj bhi hai
har ghar pe matam barpa
kal bhi tha aaj bhi hai
har lab pe us ka nauha
kal bhi tha aaj bhi hai
qabza har dil pe is ka
kal bhi tha aaj bhi hai
aisa duniya mein koi hai na hoga
wallah
aisa mera hussain
aisa mera hussain
mera maula hussain
aisa mera hussain
hussain hussain hussain
hussaina hussaina
har koi maane jise apna imam
saari zabano pe hai ek hi naam
hindu muslim eesayi
is dar pe bhai bhai
dharti ka raja hai
hum sab ka maula hai
har koi kehta hai
har dil mein rehta hai
aisa mera hussain
aisa mera hussain
mera maula hussain
aisa mera hussain
hussain hussain hussain
hussaina hussaina
dil jaan jaan e jaana
jaan e man hussain jaan
dil jaan jaan e jaana
jaan e man hussain jaan
hussaino minni wa ana minal hussain
bole nabi mera chain hai ye noore ain
mera sawaar hai ye
dil ka qaraar hai ye
fatema iski maa
baba kulle emaan
aisa shajra kahan
sun le saara jahan
aisa mera hussain
aisa mera hussain
mera maula hussain
aisa mera hussain
hussain hussain hussain
hussaina hussaina
khidmat aza ki karta mai aaya
wirsa yehi aulaad mein paaya
majlis girya o matam
karte rahenge har dam
mujhko hai ye sukoon
hai paak mera khoon
mai rahoon na rahoon
bolega ye junoon
aisa mera hussain
aisa mera hussain
mera maula hussain
aisa mera hussain
hussain hussain hussain
hussaina hussaina
zinda rahega painda rahega
maula hussain ka naam
zinda rahega painda rahega
maula hussain ka naam
karbobala ka saani koi nahi hussain
aake yahan pe ye kahe zaireen
ye paak sar zameen
milta hai rab yahin
ye hai khaak e shifa
kehte hai ambiya
banjar ye sehra tha
jannat bana diya
jannat hai rauza tera
jannat hai poori ye karbobala
ai wallah ai wallah
janant hai karbala
hussain hussain
jaa ke dekho arbaeen
manzar ye dekha kahin
hota hai aisa yahin
hai karoron zaireen
chod aaye apna ghar
karte hai paidal safar
har taraf hai sar hi sar
hai thakan se bekhabar
sardi mein garmi mein bhi
hai safar mein har ghadi
din mein shab mein har koi
karta rehta hai mashi
sab ka ye daata hai
har dil ko bhaata hai
dar pe bulaata hai
rab se milaata hai
aisa mera hussain
aisa mera hussain
mera maula hussain
aisa mera hussain
hussain hussain hussain
hussaina hussaina
sad alweda hussaina
sad alweda hussaina
hussain tera shukriya
bulaya tu ne karbala
dua hai ye farhan ki
na ho ye ziyarat aakhri
tum apne mazhar ko sada
bulaana maula karbala
sad alweda hussaina
sad alweda hussaina
baadshah e karbala
alweda yabna zahra
tishna labe nainawa
alweda yabna zahra
tere purse ka maula
haq ada na ho saka
zawwaron ki khidmat ka
haq ada na ho saka
phir dar pe bulwa lena
alweda yabna zahra
zawwari karwa dena
alweda yabna zahra
qubool karna pursa
alweda yabna zahra
ye matam aur ye nauha
alweda yabna zahra
dete hai tumko pursa
alweda yabna zahra
kehte hai ahle aza
alweda yabna zahra
wavaila sad wavaila
alweda yabna zahra
wavaila sad wavaila
alweda yabna zahra
alweda alweda yabna zahra alweda
alweda alweda yabna zahra alweda
alweda ya hussain
alweda ya hussain