Kanz e Aza

Alam Hamara

A noha written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

kitne zamane guzar gaye

alam hamara jhuka nahi

junoon se gham may kayedaton ka

jo silsila tha ruka nahi


choo raha hai arsh ki bulandiyan

gir raha hai zaalimon pe bijliyan

ke is alam ki bulandiyon par

janabe zehra ki hai dua


alam hamara rahega ooncha

sitam ki laakhon chale hawayein


isi alam par muraad maange

tamaam aalam ke saath hum bhi

hai is alam ki kayedaton may

hussainiyat bhi juoloos e gham bhi

hum is alam se hi maangte hai

dawa shifaris aur wafayein

alam hamara rahega...


isay waseele bana ke maango

jo maango parwardigaar dega

jo iske saaye may saans lega

ye uski naslein sawaar dega

jab is pe saaya hai sayyeda ka

to iske saaye may kyun na jaaye

alam hamara rahega...


hussain karte thay naaz jis par

usi maseeha ka ye alam hai

jo maut taale nazar utha kar

usi maseeha ka ye alam hai

to kyun na phir is alam ko ghar ghar

uthaye bete sajaye maayein

alam hamara rahega...


jahan pe abbas ka alam ho

wahan pe mushkil ka kaam kya hai

alam uthaate hi jaan loge

ke maut kya aur dawaam kya hai

hayaat tasqseem karti jaaye

alam jo choo kar chali hawayein

alam hamara rahega...


hamari izzat hasham hamara

azeem tar hai alam hamara

rakhega dunya o aakhirat may

qasam khuda ki bharam hamara

karenge raayij hum ek naara

alam uthayein najaat paayein

alam hamara rahega...


wazeefa safdar hai zindagi ka

aqeeda hai mazhar abidi ka

alam ye jis ne lagaya ghar par

na hoga mohtaaj wo kisi ka

hamare daawe pe jin ko shak ho

wo aake kismat ko aazmaye

alam hamara rahega...