Kanz e Aza

Ali Maulana

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ta surat e paywand e jahan bood ali bood

ta naqsh e zameen bood zamaan bood ali bood

shaahi ke wali bood o wasi bood ali bood

sultan e sakha o karam o jood ali bood

ham adam o ham shees o ham idris o ham ayub

ham yusuf o ham yunus o ham hood ali bood

ham musa o ham isa o ham khizr o ham ilyaas

ham saalih e paygambar o dawood ali bood


taaron ne abhi aankh na kholi thi ali tha

na amn ka paigham na holi thi ali tha

daata tha duayein thi na jholi thi ali tha

khaaliq ki zaban kun bhi na boli thi ali tha

ali maulana ali ali maulana ali


toote dilon ki sada ali maulana ali

taaj e wilayat tera ali maulana ali

haq ne kiya faisla khuld mein wo jayega

jo bhi mohib hai tera

ali maulana ali...


angusht pe darwaza e khyber ko utaahle

jo doobte suraj ko ishaare se bulaale

toofano ka rukh phayr de mushkil se nikaale

jab chaahe jahan chaahe jise chaahe bachale

kulle emaan hai tu

rab ki pehchaan hai tu

deen ki jaan hai tu

ali maulana ali...


teri jo fazeelat hai wo afsana nahi hai

munkir hai jise teri taraf aana nahi hai

juz zaat e mohamed koi pehchana nahi hai

dunya ne tujhe maana magar jaana nahi hai

ye tera jaah o hasham

saahib e tayg e do dam

hai tera sab pe karam

ali maulana ali...


tu sab se badi khaliq e akbar ki nishani

na uska koi saani na tera koi saani

kehte hai ye quran ke tafseer o ma'ani

dunya ne abhi teri haqeeqat nahi jani

ayatullah bhi tu

wajhullah bhi tu

asadullah bhi tu

ali maulana ali...


hum tere muqallid hai tu hi rehbar e azam

hai noor tera noor e khudawand e do aalam

ek bhai mohamed hai tera noor e mujassam

jhutlaye meri baat ko kis mein hai bhala dam

hai tu hi aala nasb

sher haq tera laqab

keh rahe hai yehi sab

ali maulana ali...


doobte suraj ne kaha

chand sitaron ne kaha

laal qalandar ne kaha

tere liye hamd o sana


na nooh thay na un ka safina tha ali tha

yasrab tha na makka na madina tha ali tha

abid na ibadat ka kareena tha ali tha

jis waqt pe marna tha na jeena tha na ali tha


taskeen e dil o jaan to ibadat se milegi

tasdeeq ibadat ko mawadat se milegi

sajdon ko sanad teri wilayat se milegi

tauheed hamein teri mohabat se milegi

jo tujhe maane khuda

wo bhi munkir hai tera

ye aqeeda hai mera

ali maulana ali...


padta hai teri shaan mein quran qaseede

alhamd se wal-naas talak hai tere charche

quran ki tilawat se khule raaz ye saare

wal-fajr bhi wal-shams bhi wal-layl bhi tu hai

aql mein aata nahi

qalb se jaata nahi

kya hai samajh aata nahi

ali maulana ali...


juz tere kiya jis ne salooni ka ye daawa

jo poochna chahoge jawab uska milega

haathon ki hateli ki tarha se hai ye dunya

mai hota tere daur mein to pooch hi leta

kun faya kun ka safar

ye sitaron ka nagar

kya hai ye shams o qamar

ali maulana ali...


ummat ne tere baad yateemo ko sataya

maula teri aulaad ko hai khoon rulaaya

ek pyase musafir ka lahoo ban mein bahaya

zainab ki rida loot ke qaimo ko jalaya

royi thi karbobala

aaiye sher e khuda

lut gayi aal e aba

ali maulana ali...


jab shaam e ghariban ki rida dasht pe chaayi

ghazi ki behan ranj o masayib ki satayi

ek toota huwa naiza liye pehre pe aayi

haathon se jigar thaam ke deti thi duhaai

chin gayi meri rida

bhai bhi qatl huwa

aaiye karbabola

ali maulana ali...


kehte hai zamane se yehi mesum o mazhar

hum hyder e karraar ki dehleez ke naukar

rehti hai hama waqt sada ek labon par

is dar se bada saare zamane mein nahi dar

maalik e kauno makan

saat pardon mein niha

hai aqeedat ki azan

ali maulana ali...