Kanz e Aza

Allah Allah Qayamat

A noha for Darbaar e Shaam, written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

jo thi kaunain ki shaahzadi

sar barehna sar e shaam aayi

kyun na fizza ye de ab duhaai

behen abbas ki berida hai


allah allah qayamat bapa hai

behen abbas ki berida hai

ye sitam dil pe sab se bada hai

behen abbas ki berida hai

allah allah qayamat...


mai to aayi thi tere sahare

so gaya tu to darya kinare

shaam jayegi kis tarha zainab

dil tadapne laga gham ke maare

bibiyon ke labon par buka hai

behen abbas ki berida hai

allah allah qayamat...


ay alamdar e ghazi dua kar

gham se mar jaaye na teri khwahar

ay khuda e wafa ye bata de

zabt kaise karun is sitam par

shimr has kar yehi keh raha hai

behen abbas ki berida hai

allah allah...


ban gaya mera sajjad qaidi

tauq pehne hai aur bediyan bhi

khaafile ka yehi saareban hai

is ki ghairat ye nauha karegi

ab to ehsaas jeena saza hai

behen abbas ki berida hai

allah allah qayamat...


baad tere ye pehla safar hai

har qadam gham se chalni jigar hai

aaj mehmil hai aur na kajawa

aur zainab pe sab ki nazar hai

tu nahi saath ye gham chala hai

behen abbas ki berida hai

allah allah qayamat...


log apne na apna watan hai

bas isi gham ki dil mein chubhan hai

kaise parda karun tu batade

mujhko jhakde huwe jo rasan hai

dil yehi soch kar ro raha hai

behen abbas ki berida hai

allah allah qayamat...


jab suni bekason ki sadayein

aasman ro pada aur hawayein

ro ke sajjad bhi keh raha hai

koi lillaah de de ridayein

kaise ajr e risalat mila hai

behen abbas ki berida hai

allah allah qayamat...


bain fizza ke lab par yehi hai

ya ali ye madad ki ghadi hai

dekh darbar hai ashkiyan ka

aur beparda aale nabi hai

waqt sajjad par ye kada hai

behen abbas ki berida hai

allah allah qayamat...


shimr se jab ye haakim ne poocha

tu bata tera in'aam ho kya

bola badzaat haakim se has kar

haal tu dekh in qaidiyon ka

mujhko in'aam ye mil gaya hai

behen abbas ki berida hai

allah allah qayamat...


ro ke safdar se kehta hai mazhar

likh nahi sakta koi sukhanwar

jo sitam meri bibi pe toote

baad shere jari shaam jaa kar

bas ye misra hi khud marsiya hai

behen abbas ki berida hai

allah allah qayamat...